Jab tak hai jaan

Teri aankhon ki namkeen mastiyaan Teri hansi ki beparwah gustakhiyan Teri zulfon ki leharati angdaiyan Nahi bhoolunga main

Jab tak hai jaan Jab tak hai jaan

Tera haath se haath chhodna Tera saayon se rukh modna Tera palat ke phir na dekhna Nahi maaf karunga main

Jab tak hai jaan Jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak tere naachne se Baat baat pe bewajah tere roothne se Chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se Mohabbat karunga main Jab tak hai jaan Jab tak hai jaan

Tere jhoote kasme waadon se Tere jalte sulagte khwabon se Teri be raham duaao se Nafrat karunga main

Jab tak hai jaan Jab tak hai jaan

Previous Post Next Post